Zindagi jis kadi se bandhi thi, woh kahin chatak gayi hai ..
takraaron ne khurach diya hai rishte ke taaron ko ..
Apne hin haanthon apne ghaon cheelti rehti hoon main ....
nasoor ke saath kate bujhe shabd nikalte hain tumhare...
Unko ulta seedha karke dobaara padhne ki koshish karti hoon ...
shayad kuch sawalon ke jawab mil jaaye unmein ...
aajkal har raat sapno mein puraani yaadein aati hain ...
nasha rehta tha dil mein un dinon ..
har din shaam ko bus mein tumhara intezar karna ....
umadti bheed mein tumhara chehra talaashna ...
tumhari muskurahat ka meri aankhon mein utar jaana ....
wahi sab dekhti hoon sapnon mein ..
magar ab sab laal rang mein dikhta hai ..
jaise laal chasma laga rakha ho sapne mein ...
shayad dil ka saara khoon nikal kar sapnon mein chala gaya hai ..
No comments:
Post a Comment